Saturday, April 6, 2013

Ujaala!!!

fir un andherii galion me gumnaam si hui zindagi
na jaane kab agli subah muskaraa ke paas bulaayegi

mayuus nam aankhein baar baar kuch sawaal karti hain...
jawaab kahin se aata nahi to fir se sisakne lagti hain

jo khoya hai wo mera hi to tha , tune hi to wo humko diya tha
ab cheen lia to bata bhi de ujaala kab ayega
andhere me bhi bechain aankhein tuktuki lagaaye baithi hain
bata mere maula fir se ujaala kab ayega , ujaala kab ayega!!

 - AnShul

No comments:

Post a Comment