Friday, July 22, 2011

hazaar khwaishein aisi: Waqt hi kitna lagta hai

hazaar khwaishein aisi: Waqt hi kitna lagta hai

Waqt hi kitna lagta hai


Khwaabon ke par lagne me waqt hi kitna lagta hai...
dhundli umeed ko zinda karne me waqt hi kitna lagta hai....
Gir ke fir uthne me waqt hi kitna lagta hai....
par naa jaane kyun tu aisa kar gaya us lamhe me


wohi lamhaa kafi  hai ....khuda teri rusvaayi ka....
udte parinde ke par kutarne me waqt hi kitna lagta hai..
umeedon ko todne me tjhe waqt hi kitna lagta hai....

dard hota hai aankhein nam ho jati hai...
dil sehemta hai saansein tham jaati hai...
magar haar dene me tujhe waqt hi kitna lagta hai
mere sawaalon ko ansuna karne me waqt hi kitna lagta hai

jeeti hui baazi ko haar gaya ek jhatke me ...
sajaye the jo khwaab bik gaye yun saste me
mere khwaabon ko jalaane me tjhe waqt hi kitna lagta hai
mere aansoo ko paani kehne me tujhe waqt hi kitna lagta hai.......
                                                                   ----AnShul

Friday, March 18, 2011

Bura na maano ...bhaiyaa aa gayi Holi...:)




rang rangeeli ayi holi,
bachchon ke fir nikli toli...
rang gulaal udaati nikli...
gubbaaron pichkari ki masti...
buraa naa maano aa gayi holi.... 


bachpan beeta..par na maani holi,
har saal aake humse boli,
ab gulaal ka bus teeka lagaate ho,
kahan gayi tumhari wo toli...
fir se umang se manaao holi....


maine bola kaise khelun holi...
naukri paise ki ab roz hoti hai holi..
roj ussi ki daud me rehti hai meri toli..
milti hai chutii ...bhaiya to  kab hai holi...
jalti hai har baar ...maholle me holi...
par rang rangeeli ab kaise ho holi...
paise ki mayaa hai bhaiya ...usii ki khelo holi
bura na maano fir aa gayi holi...
bura na maano fir aa gayi holi

Wednesday, December 15, 2010

sarhad..........

sarhadein peeche kahin mulk ki chhod aya hun,
musafir hun kuch arse ko pardes tashreef laya hun,
na jane kya aabo hawa hai meri mitti ki ,
meelon duur bhi uski yaad na bhula paya hun...

wo rounak ..wo dunia ..wo insaan pareshaan...
वो दिल्ली  की  गलिओं  में हैरान राम और  रहमान
jahan ghalib ne likhkhe the nazrane bemisaal...
mai us mohalle ka zikr kaagaz pe laya hun....

Friday, August 20, 2010

flashback :) Tribute to Bhopal by AnShuL







chal diya musafir fir un galion ki panaahon me,


jahaan kabhi dunia uski befikr ghumaaa karti thi,

jahaan kabhi barish me fitrat beyimaan hoti thi....


jahan kabhi beparvaah si khwabon ki dunia hoti thi,

khwaab aayen ya gum ho jayen ...aankhen befikr soti thi,






chal diya musafir fir un galion ki panaahon me,


jahan kabhi baaton baaton me raat se subah hoti thi

jahaan kabhi peene ki koi wajah na hoti thi,

jahan kabhi chai ke sath sutte ki rotation chalti thi,

jahan kabhi mazaaq mazaaq me shirt pant fataa karti thi,




chal diya musafir fir un galion ki panaahon me,

jahan kabhi khuli aankhein sapno me khoya karti thi ,

jahan kabhi dil ko mohabbat karne ki fursat thi ,


jahan kabhi haste haste aankhen nam hua karti thi,

jahan kabhi dunia hume future farzzi engineer kehti thi :D ....






Tuesday, August 17, 2010

subah ka ek sapna :)






subah subah suraj ki sunehri kirano ke jharonkhe me

....ek khwab meri kachchi neend me aya ....

tabse khuda se us armaan ki khwaish karta hun ,

mai rozz neend me us sapne ko jee leta hun......

mai aajkal khwaabon ki dunia me jeeta hun,



ek lamha mujhe wo sach hota dikhta hai ...

fir pal bhar me wo baadalon me chupta hai ...

is lukachuppi ka khel har rozz chalta hai .....

mai fir bhi usse sach hote dekhta hun...

mai aajkal khwaabon ki dunia me jeeta hun

Thursday, November 5, 2009

nostalgia yaaron thanks for those moments...........nostalgia



waqt ko aaj maine fir palat ke dekha tha,
dil ko aaj maine fir wo yaad karte dekha tha,
purani yaadon me aaj khud kho khoya khoya dekha tha,



waqt ko aaj maine fir palat ke dekha tha,
na jaane aaj maine kyun fir wo khwab dekha tha
na jaane kyn maine fir un galion me jhaankaa tha



waqt ko aaj maine fir palat ke dekha tha,
apni zindagi ka wo sunehra manzar dekha tha,
bichde yaaron ke sang khud ko jeete dekha thaa


waqt ko aaj maine fir palat ke dekha tha,
jab main apni hi dhun me dunia ki sair karta tha,
jab mai geeton ko gaake dil halka kar leta tha



wo yaadein, wo pal, wo behetareen lamhe,
wo dosti, wo jhagde, wo rulaate huye lamhe
un dino ko maine khoob machalte dekha tha,
waqt ko aaj maine fir palat ke dekha tha