Tuesday, August 17, 2010

subah ka ek sapna :)






subah subah suraj ki sunehri kirano ke jharonkhe me

....ek khwab meri kachchi neend me aya ....

tabse khuda se us armaan ki khwaish karta hun ,

mai rozz neend me us sapne ko jee leta hun......

mai aajkal khwaabon ki dunia me jeeta hun,



ek lamha mujhe wo sach hota dikhta hai ...

fir pal bhar me wo baadalon me chupta hai ...

is lukachuppi ka khel har rozz chalta hai .....

mai fir bhi usse sach hote dekhta hun...

mai aajkal khwaabon ki dunia me jeeta hun

No comments:

Post a Comment